dar-b-dar bhatkne ka aa gaya hunar hamko | दर-ब-दर भटकने का आ गया हुनर हमको - M R CHAUHAN

dar-b-dar bhatkne ka aa gaya hunar hamko
dar nahin le jaaye ab raasta jidhar hamko

raah mein musaafir hain kuch hamaare jaise aur
un sabhi ne samjha hai apna raahbar hamko

ik yahi shikaayat thi umr-bhar muqaddar se
umr-bhar muqaddar se bas mila safar hamko

jaa-b-jaa mein phaile hain naqsh-e-paa hamaare hi
jaanti hai har thokar aur raahguzaar hamko

दर-ब-दर भटकने का आ गया हुनर हमको
डर नहीं ले जाए अब रास्ता जिधर हमको

राह में मुसाफ़िर हैं कुछ हमारे जैसे और
उन सभी ने समझा है अपना राहबर हमको

इक यही शिकायत थी उम्र-भर मुक़द्दर से
उम्र-भर मुक़द्दर से बस मिला सफ़र हमको

जा-ब-जा में फैले हैं नक़्श-ए-पा हमारे ही
जानती है हर ठोकर और रहगुज़र हमको

- M R CHAUHAN
5 Likes

Musafir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by M R CHAUHAN

As you were reading Shayari by M R CHAUHAN

Similar Writers

our suggestion based on M R CHAUHAN

Similar Moods

As you were reading Musafir Shayari Shayari