nahin koii nahin aaya akela main khada hoon | नहीं कोई नहीं आया अकेला मैं खड़ा हूँ - Mann sharma

nahin koii nahin aaya akela main khada hoon
nahin koii nahin aayega ye bhi jaanta hoon

kabhi tirchi nigaahon se use main dekhta hoon
zara vo bhi mujhe dekhe yahi bas chahta hoon

rakhoon sar uske kandhe par hatheli haath mein ho
main apne gaal par ye haath rakh kar sochta hoon

adhoora ishq kar ke chhod doonga is safar mein
muhabbat mein main badnaami zara sii chahta hoon

koii bhi phool mujhse rooth kar murjha na jaaye
barabar naap kar paudhon mein paani daalta hoon

नहीं कोई नहीं आया अकेला मैं खड़ा हूँ
नहीं कोई नहीं आएगा ये भी जानता हूँ

कभी तिरछी निगाहों से उसे मैं देखता हूँ
ज़रा वो भी मुझे देखे यही बस चाहता हूँ

रखूँ सर उसके कन्धे पर हथेली हाथ में हो
मैं अपने गाल पर ये हाथ रख कर सोचता हूँ

अधूरा इश्क़ कर के छोड़ दूँगा इस सफ़र में
मुहब्बत में मैं बदनामी ज़रा सी चाहता हूँ

कोई भी फूल मुझसे रूठ कर मुरझा न जाए
बराबर नाप कर पौधों में पानी डालता हूँ

- Mann sharma
1 Like

More by Mann sharma

As you were reading Shayari by Mann sharma

Similar Writers

our suggestion based on Mann sharma

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari