aashiq ko pyaar mein kab sona aata hai | आशिक़ को प्यार में कब सोना आता है

  - Manoj Devdutt

aashiq ko pyaar mein kab sona aata hai
paaya mujhko phir sab khona aata hai

sochun tere baare mein phir ik ghalti par
apni mujhko rah rah rona aata hai

tu to ho jaati hai mere jaisi par
mujhko kab tere jaisa hona aata hai

mujhko paagal kar de vo do nazaron se
mujhko kab ye jaadu toona aata hai

vo mere paapon ko bhi dho deti hai
mujhko kab kapde bhi dhona aata hai

mere hisse kab poora dil aaya hai
mere hisse dil ka kona aata hai

mere bistar par kaante bo dete hain
par mujhko kab kaante bona aata hai

आशिक़ को प्यार में कब सोना आता है
पाया मुझको फिर सब खोना आता है

सोचूँ तेरे बारे में फिर इक ग़लती पर
अपनी मुझको रह रह रोना आता है

तू तो हो जाती है मेरे जैसी पर
मुझको कब तेरे जैसा होना आता है

मुझको पागल कर दे वो दो नज़रों से
मुझको कब ये जादू टोना आता है

वो मेरे पापों को भी धो देती है
मुझको कब कपड़े भी धोना आता है

मेरे हिस्से कब पूरा दिल आया है
मेरे हिस्से दिल का कोना आता है

मेरे बिस्तर पर काँटें बो देते हैं
पर मुझको कब काँटें बोना आता है

  - Manoj Devdutt

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manoj Devdutt

As you were reading Shayari by Manoj Devdutt

Similar Writers

our suggestion based on Manoj Devdutt

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari