ab main kisi ke haath mein aata nahin
ik haath se bas main nikal paata nahin
vo kah chuki hai tum chale jaao kahi
vo sharm hoon main jo kahi jaata nahin
soorat dikha di hai usi ne ab mujhe
chehra tabhi koi mujhe bhaata nahin
toota nahin hai dil mera bas isliye
ghazlein tarannum mein abhi gaata nahin
main ho gaya hoon ab mulaazim uska hi
mera kisi se ab koi naata nahin
baarish kabhi bhi ho use hai bheegna
chhatri laga doon to kahe chaata nahin
pehla nivaala vo na kha le jab talak
khaana kabhi main tab talak khaata nahin
अब मैं किसी के हाथ में आता नहीं
इक हाथ से बस मैं निकल पाता नहीं
वो कह चुकी है तुम चले जाओ कहीं
वो शर्म हूँ मैं जो कहीं जाता नहीं
सूरत दिखा दी है उसी ने अब मुझे
चेहरा तभी कोई मुझे भाता नहीं
टूटा नहीं है दिल मेरा बस इसलिए
ग़ज़लें तरन्नुम में अभी गाता नहीं
मैं हो गया हूँ अब मुलाज़िम उसका ही
मेरा किसी से अब कोई नाता नहीं
बारिश कभी भी हो उसे है भीगना
छतरी लगा दूँ तो कहे छाता नहीं
पहला निवाला वो न खा ले जब तलक
खाना कभी मैं तब तलक खाता नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manoj Devdutt
our suggestion based on Manoj Devdutt
As you were reading Haya Shayari Shayari