jab hamein tum yaad aaye raat bhar | जब हमें तुम याद आए रात भर

  - Mohit Negi Muntazir

jab hamein tum yaad aaye raat bhar
aansuon ne gham bahaaye raat bhar

khwaab kitne hi sajaaye raat bhar
jin ko chaaha vo na aaye raat bhar

ek suraj dhal gaya jab shaam ko
chaand taare muskuraaye raat bhar

kal mujhe ik phool pannon mein mila
din purane yaad aaye raat bhar

jin ke preetam door the pardes mein
chaandni ne dil jalaae raat bhar

kahte hain jo qismaton ka khel hai
khwaab un ko kyun jagaae raat bhar

जब हमें तुम याद आए रात भर
आँसुओं ने ग़म बहाए रात भर

ख़्वाब कितने ही सजाए रात भर
जिन को चाहा वो न आए रात भर

एक सूरज ढल गया जब शाम को
चाँद तारे मुस्कुराए रात भर

कल मुझे इक फूल पन्नों में मिला
दिन पुराने याद आए रात भर

जिन के प्रीतम दूर थे परदेस में
चाँदनी ने दिल जलाए रात भर

कहते हैं जो क़िस्मतों का खेल है
ख़्वाब उन को क्यों जगाए रात भर

  - Mohit Negi Muntazir

More by Mohit Negi Muntazir

As you were reading Shayari by Mohit Negi Muntazir

Similar Writers

our suggestion based on Mohit Negi Muntazir

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari