jin ke zulmon ko ham sah gaye
vo hamein bewafa kah gaye
khwaab vo mil ke dekhe hue
aansuon mein sabhi bah gaye
tum na aaye nazar door tak
raah ham dekhte rah gaye
ro pada gaav mein ja ke main
mere pushtaini ghar dhah gaye
zindagi ke har ik mod par
zakhm jalte hue rah gaye
muntazir dhaal kar sher mein
apni baaton ko kyun kah gaye
जिन के ज़ुल्मों को हम सह गए
वो हमें बेवफ़ा कह गए
ख़्वाब वो मिल के देखे हुए
आँसुओं में सभी बह गए
तुम न आए नज़र दूर तक
राह हम देखते रह गए
रो पड़ा गाँव में जा के मैं
मेरे पुश्तैनी घर ढह गए
ज़िंदगी के हर इक मोड़ पर
ज़ख़्म जलते हुए रह गए
'मुंतज़िर' ढाल कर शेर में
अपनी बातों को क्यों कह गए
As you were reading Shayari by Mohit Negi Muntazir
our suggestion based on Mohit Negi Muntazir
As you were reading undefined Shayari