dekh kitna haseen manzar hai
baal khole hue vo chat par hai
main zameen ki tarah hoon gardish mein
misl-e-soorj piya tera ghar hai
sirf yaadon ke saath jeete hain
vo hamein ab kahaan mayassar hai
log eimaan laaye hain jis par
whatsapp naam ka payambar hai
uska deedaar ho nahin paaya
is gali mein ye chautha chakkar hai
देख कितना हसीन मंज़र है
बाल खोले हुए वो छत पर है
मैं ज़मीं की तरह हूँ गर्दिश में
मिस्ल-ए-सूरज पिया तेरा घर है
सिर्फ़ यादों के साथ जीते हैं
वो हमें अब कहाँ मयस्सर है
लोग ईमान लाए हैं जिस पर
व्हाट्सएप नाम का पयम्बर है
उसका दीदार हो नहीं पाया
इस गली में ये चौथा चक्कर है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Monis faraz
our suggestion based on Monis faraz
As you were reading Deedar Shayari Shayari