jaan ranjishon ka mujh ko ye mausam qubool hai
tu saath ho jo mere to har gham qubool hai
ya rab sawaal karne ki mauhlat to de zara
phir uske baad mujh ko jahannam qubool hai
tere lagaaye zakhm ki lazzat hi aur hai
kis badnaseeb ko bhala marham qubool hai
ham ko ye paak-o-hind ki sarhad se kya garz
chahe jahaan ka ho hamein aadam qubool hai
जाँ रंजिशों का मुझ को ये मौसम क़ुबूल है
तू साथ हो जो मेरे तो हर ग़म क़ुबूल है
या रब सवाल करने की मौहलत तो दे ज़रा
फिर उसके बाद मुझ को जहन्नम क़ुबूल है
तेरे लगाए ज़ख्म की लज़्ज़त ही और है
किस बदनसीब को भला मरहम क़ुबूल है
हम को ये पाक-ओ-हिंद की सरहद से क्या गरज़
चाहे जहाँ का हो हमें आदम क़ुबूल है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Monis faraz
our suggestion based on Monis faraz
As you were reading Kashmir Shayari Shayari