apni baat manaane ko ham aankh bhigoya karte the | अपनी बात मनाने को हम आँख भिगोया करते थे

  - Naaz ishq

apni baat manaane ko ham aankh bhigoya karte the
khelna hota tha aangan mein beej na boya karte the

din ab nikalne ko hota hai palkein halki hoti hain
aur ik waqt tha jab ham din dhalti hi soya karte the

doob gaye kab pyaar mohabbat mein hamko maaloom nahin
ham to paani mein kaaghaz kii naav duboya karte the

khuddaari aur nafrat ke keedon ne kii faslen barbaad
kyonki vo beej mohabbat ke the jo ham boya karte the

haath chhudaaya papa ka aur kitna door chale aaye
pehle to bas oongli chhoot gai aur khoya karte the

kaise kapde pahne hain maine kaisa dikhta hoon main
koii parwa nahin thi kitne saada hoya karte the

naaz patang jawaani kii bachpan mein oonchi udti thi
kyonki ham uski dori mein kuchh khwaab pirooya karte the

ammi kii baatein sunta hoon to hairat hoti hai naaz
bhai behn mein sabse ziyaada tum hi roya karte the

अपनी बात मनाने को हम आँख भिगोया करते थे
खेलना होता था आँगन में बीज न बोया करते थे

दिन अब निकलने को होता है पलकें हल्की होती हैं
और इक वक़्त था जब हम दिन ढलते ही सोया करते थे

डूब गए कब प्यार मोहब्ब्त में हमको मालूम नहीं
हम तो पानी में काग़ज़ की नाव डुबोया करते थे

ख़ुद्दारी और नफ़रत के कीड़ों ने की फ़सलें बर्बाद
क्योंकि वो बीज मोहब्बत के थे जो हम बोया करते थे

हाथ छुड़ाया पापा का और कितना दूर चले आए
पहले तो बस उॅंगली छूट गई और खोया करते थे

कैसे कपड़े पहने हैं मैंने कैसा दिखता हूॅं मैं
कोई पर्वा नहीं थी कितने सादा होया करते थे

'नाज़' पतंग जवानी की बचपन में ऊॅंची उड़ती थी
क्योंकि हम उसकी डोरी में कुछ ख़्वाब पिरोया करते थे

अम्मी की बातें सुनता हूॅं तो हैरत होती है 'नाज़'
भाई बहन में सबसे ज़्यादा तुम ही रोया करते थे

  - Naaz ishq

More by Naaz ishq

As you were reading Shayari by Naaz ishq

Similar Writers

our suggestion based on Naaz ishq

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari