ishq hai nahin hisaab ka | इश्क़ है नहीं हिसाब का - Chetan Verma

ishq hai nahin hisaab ka
ab ghulaam dil janab ka

khush bhi hai vo khush naseeb bhi
qafila hoon main azaab ka

hai khumaar usko na-pasand
aur majma main sharaab ka

kaanton se bhare jahaan mein
phool hai vo ik gulaab ka

ishq vo nahin hai ishq phir
ho faqat hi jo kitaab ka

jo asar meri qalam pe hai
shab ka aur hai shabaab ka

इश्क़ है नहीं हिसाब का
अब ग़ुलाम दिल जनाब का

ख़ुश भी है वो ख़ुश नसीब भी
क़ाफ़िला हूँ मैं अज़ाब का

है ख़ुमार उसको ना-पसंद
और मज्मा मैं शराब का

काँटों से भरे जहान में
फूल है वो इक गुलाब का

इश्क़ वो नहीं है इश्क़ फिर
हो फ़क़त ही जो किताब का

जो असर मेरी क़लम पे है
शब का और है शबाब का

- Chetan Verma
0 Likes

More by Chetan Verma

As you were reading Shayari by Chetan Verma

Similar Writers

our suggestion based on Chetan Verma

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari