kijie jo sitam rah gaye hain | कीजिए जो सितम रह गए हैं

  - Parvez Zaami

kijie jo sitam rah gaye hain
aur do chaar dam rah gaye hain

kar ke waada-e-shab vo na aaye
taare hi ginte ham rah gaye hain

kehne ko nek ab is jahaan mein
sirf ahl-e-adam rah gaye hain

dekh kar us ki tarz-e-tabassum
sheesh phoolon ke kham rah gaye hain

aap aur be-wafa banda-parvar
toot kar sab bharam rah gaye hain

zor-e-haidar na sidq-e-abuzar
kya musalmaan ham rah gaye hain

din ko din shab ko shab likhne waale
chand ahl-e-qalam rah gaye hain

kyun nahin ugta pachhim se suraj
hone ko kya sitam rah gaye hain

aayein hain waqt-e-aakhir vo milne
jaane ab kya sitam rah gaye hain

chhed kar qissa-e-ishq zaami
baithe gum-sum se ham rah gaye hain

कीजिए जो सितम रह गए हैं
और दो चार दम रह गए हैं

कर के वादा-ए-शब वो न आए
तारे ही गिनते हम रह गए हैं

कहने को नेक अब इस जहाँ में
सिर्फ़ अहल-ए-अदम रह गए हैं

देख कर उस की तर्ज़-ए-तबस्सुम
शीश फूलों के ख़म रह गए हैं

आप और बे-वफ़ा बंदा-पर्वर
टूट कर सब भरम रह गए हैं

ज़ोर-ए-हैदर न सिद्क़-ए-अबूज़र
क्या मुसलमान हम रह गए हैं

दिन को दिन शब को शब लिखने वाले
चंद अहल-ए-क़लम रह गए हैं

क्यूँ नहीं उगता पच्छिम से सूरज
होने को क्या सितम रह गए हैं

आएँ हैं वक़्त-ए-आख़िर वो मिलने
जाने अब क्या सितम रह गए हैं

छेड़ कर क़िस्सा-ए-इश्क़ 'ज़ामी'
बैठे गुम-सुम से हम रह गए हैं

  - Parvez Zaami

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Zaami

As you were reading Shayari by Parvez Zaami

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Zaami

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari