chand lamhon ki iqaamat si hoti hai | चंद लम्हों की इक़ामत सी होती है

  - Parvez Zaami

chand lamhon ki iqaamat si hoti hai
duniya ik waqti sukoonat si hoti hai

aap jab hanste hain dauraan-e-guftugu
khaana-e-dil mein masarrat si hoti hai

vo latife bhi sunaate hain is tarah
jis tarah waaz-o-naseehat si hoti hai

jab bhi sunta hoon fasana ayyoob ka
muflisi mein bhi qanaat si hoti hai

aap ke roo-e-darkhan ko dekh kar
maah-e-kaamil ko bhi hairat si hoti hai

ye bhi ik tashkhees hai marz-e-ishq ki
dard mein bhi ek lazzat si hoti hai

pehle hoti thi mohabbat bhi koi shay
ab to jismoon ki tijaarat si hoti hai

zakham bhi us ke diye aise lagte hain
zaami jaise koi nemat si hoti hai

चंद लम्हों की इक़ामत सी होती है
दुनिया इक वक़्ती सुकूनत सी होती है

आप जब हँसते हैं दौरान-ए-गुफ़्तुगू
ख़ाना-ए-दिल में मसर्रत सी होती है

वो लतीफ़े भी सुनाते हैं इस तरह
जिस तरह वाज़-ओ-नसीहत सी होती है

जब भी सुनता हूँ फ़साना अय्यूब का
मुफ़्लिसी में भी क़नाअत सी होती है

आप के रू-ए-दरख़्शाँ को देख कर
माह-ए-कामिल को भी हैरत सी होती है

ये भी इक तश्ख़ीस है मरज़-ए-इश्क़ की
दर्द में भी एक लज़्ज़त सी होती है

पहले होती थी मोहब्बत भी कोई शय
अब तो जिस्मों की तिजारत सी होती है

ज़ख़्म भी उस के दिए ऐसे लगते हैं
'ज़ामी' जैसे कोई नेमत सी होती है

  - Parvez Zaami

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Zaami

As you were reading Shayari by Parvez Zaami

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Zaami

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari