baat hai dhoke ki ijaad se pehle | बात है धोके की ईजाद से पहले

  - Raj

baat hai dhoke ki ijaad se pehle
baat hai taale ki ijaad se pehle

ik aawaaz mein daude aate the log
baat hai joote ki ijaad se pehle

mandir masjid girijaaghar hote the
har ik tike ki ijaad se pehle

door rakhe honge jheelon se patthar
tab aaine ki ijaad se pehle

log tajarbe se aage tak aaye
padhne likhne ki ijaad se pehle

tez hawa ka dera hoga jag mein
uske jhumke ki ijaad se pehle

meri khaami pe chadar chadhti thi
tere kisse ki ijaad se pehle

pyaar raha hoga logon mein kitna
sikke paise ki ijaad se pehle

ashk chhipaana bhi fan hota hoga
kaale chashme ki ijaad se pehle

log lagaate honge andaaze raaj
tab darwaaze ki ijaad se pehle

बात है धोके की ईजाद से पहले
बात है ताले की ईजाद से पहले

इक आवाज़ में दौड़े आते थे लोग
बात है जूते की ईजाद से पहले

मंदिर मस्जिद गिरजाघर होते थे
हर इक टीके की ईजाद से पहले

दूर रखे होंगे झीलों से पत्थर
तब आईने की ईजाद से पहले

लोग तजरबे से आगे तक आए
पढ़ने लिखने की ईजाद से पहले

तेज़ हवा का डेरा होगा जग में
उसके झुमके की ईजाद से पहले

मेरी ख़ामी पे चादर चढ़ती थी
तेरे क़िस्से की ईजाद से पहले

प्यार रहा होगा लोगों में कितना
सिक्के पैसे की ईजाद से पहले

अश्क छिपाना भी फ़न होता होगा
काले चश्मे की ईजाद से पहले

लोग लगाते होंगें अंदाज़े राज
तब दरवाज़े की ईजाद से पहले

  - Raj

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Raj

As you were reading Shayari by Raj

Similar Writers

our suggestion based on Raj

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari