aaj ye kal vo dagar karte nahin
muflisi mein ham safar karte nahin
umr chhoti thi wagarana yaar ham
ishq tumse is kadar karte nahin
gar pata hota hamein anjaam to
ham nazar apni udhar karte nahin
ishq do taraf raha hota to ham
aankh apni tar-batar karte nahin
zindagi gar jo sunaati loriyaan
maut tujhko ham khabar karte nahin
veer chaahat se agar milta koi
ham dua shaam-o-sehar karte nahin
आज ये कल वो डगर करते नहीं
मुफ़लिसी में हम सफर करते नहीं
उम्र छोटी थी वगरना यार हम
इश्क़ तुमसे इस कदर करते नहीं
गर पता होता हमें अंजाम तो
हम नज़र अपनी उधर करते नहीं
इश्क़ दो तरफ़ा रहा होता तो हम
आँख अपनी तर-बतर करते नहीं
ज़िंदगी गर जो सुनाती लोरियाँ
मौत तुझको हम ख़बर करते नहीं
'वीर' चाहत से अगर मिलता कोई
हम दुआ शाम-ओ-सहर करते नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ravi 'VEER'
our suggestion based on Ravi 'VEER'
As you were reading Safar Shayari Shayari