but-khaanon mein kyun sab paise leke khade hue hain | बुत-खानों में क्यों सब पैसे लेके खड़े हुए हैं

  - Saahir

but-khaanon mein kyun sab paise leke khade hue hain
bhagwaanon ke ghar to pehle se hi bhare hue hain

mahlon ke baashindon ne kab baahar ye dekha hai
basti ki pagdanndi par kitne aadam pade hue hain

jin jin logon ne shirkat ki hai meri mayyat mein
dekhoge to jaanoge sab bande mare hue hain

jab bhi maaro to maaro sunsaan jagah par mujhko
sun lenge kaan yahan jo deewaron ke lage hue hain

jin logon ne ishq kiya un logon ka kehna hai
jin logo ne nahin kiya achhe hain bache hue hain

dushman par jab vaar karo thoda ruk kar dekho tum
dushman josheele hain ya fir hare thake hue hain

zaalim shahzaade ne un logon ko hi chhoda hai
jin jin logon ke chehre ya kandhe jhuke hue hain

ham darveshon ko itna halka bhi mat samjhen aap
nahin uthaate vo paise jo neeche gire hue hain

ik aurat darwaaze par nazar jamaaye baithi hai
shaayad us aurat ke bete baahar gaye hue hain

बुत-खानों में क्यों सब पैसे लेके खड़े हुए हैं
भगवानों के घर तो पहले से ही भरे हुए हैं

महलों के बाशिंदों ने कब बाहर ये देखा है
बस्ती की पगडण्डी पर कितने आदम पड़े हुए हैं

जिन जिन लोगों ने शिरकत की है मेरी मय्यत में
देखोगे तो जानोगे सब बन्दे मरे हुए हैं

जब भी मारो तो मारो सुनसान जगह पर मुझको
सुन लेंगे कान यहाँ जो दीवारों के लगे हुए हैं

जिन लोगों ने इश्क़ किया उन लोगों का कहना है
जिन लोगो ने नहीं किया अच्छे हैं बचे हुए हैं

दुश्मन पर जब वार करो थोड़ा रुक कर देखो तुम
दुश्मन जोशीले हैं या फ़िर हारे थके हुए हैं

जालिम शहजादे ने उन लोगों को ही छोड़ा है
जिन जिन लोगों के चेहरे या कंधे झुके हुए हैं

हम दरवेशों को इतना हल्का भी मत समझें आप
नहीं उठाते वो पैसे जो नीचे गिरे हुए हैं

इक औरत दरवाजे पर नज़र जमाए बैठी है
शायद उस औरत के बेटे बाहर गए हुए हैं

  - Saahir

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saahir

As you were reading Shayari by Saahir

Similar Writers

our suggestion based on Saahir

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari