latkati laash kahti hai | लटकती लाश कहती है

  - Saahir

latkati laash kahti hai
ki maine khudkushi ki hai

kuein mein latka hoon main aur
kisi ne rassi phenki hai

bagicha thode hai ye dost
gulon bhavron ki basti hai

meri hansati hui tasveer
akela khoob roti hai

buna hai usko yun jaise
khuda ne shayari ki hai

lakeeron par bharosa hai
haan meri hi hatheli hai

teri tasveer hai jis par
wahi deewaar rishti hai

batao ladki kya hai dost
na suljhe vo paheli hai

ghazal meri ghazal ke saath
mohabbat hai saheli hai

jise matle mein dhoondhaa tha
vo to makte mein rahti hai

लटकती लाश कहती है
कि मैंने ख़ुदकुशी की है

कुएँ में लटका हूँ मैं और
किसी ने रस्सी फेंकी है

बगीचा थोड़े है ये दोस्त
गुलों भँवरों की बस्ती है

मेरी हँसती हुई तस्वीर
अकेले ख़ूब रोती है

बुना है उसको यूँ जैसे
ख़ुदा ने शायरी की है

लकीरों पर भरोसा है
हाँ, मेरी ही हथेली है

तेरी तस्वीर है जिस पर
वही दीवार रिसती है

बताओ लड़की क्या है दोस्त
न सुलझे वो पहेली है

ग़ज़ल मेरी, ग़ज़ल के साथ
मोहब्बत है, सहेली है

जिसे मतले में ढूँढा था,
वो तो मक्ते में रहती है

  - Saahir

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saahir

As you were reading Shayari by Saahir

Similar Writers

our suggestion based on Saahir

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari