izzat alag hi hoti hai phir dost yaar mein | इज़्ज़त अलग ही होती है फिर दोस्त यार में

  - Rohit tewatia 'Ishq'

izzat alag hi hoti hai phir dost yaar mein
gar aadmi laga ho kisi rozgaar mein

pehle to socha khwaab mein aakar milogi tum
phir neend tootne na di is intizaar mein

walid ne kaandhe pe mere kya haath rakh diya
aur chaar chaand lag gaye tab se vaqaar mein

karti thi roz roz sitam hampe zindagi
maara hai maut ne hi faqat ek baar mein

qad mein bada hoon isliye bas chaanv sabko di
suraj se varna tez hoon main taabdaar mein

hamko to ishq bhi kai sau baar hai hua
ik baar bhi nahin tha magar ikhtiyaar mein

इज़्ज़त अलग ही होती है फिर दोस्त यार में
गर आदमी लगा हो किसी रोज़गार में

पहले तो सोचा ख़्वाब में आकर मिलोगी तुम
फिर नींद टूटने न दी इस इंतिज़ार में

वालिद ने काँधे पे मेरे क्या हाथ रख दिया
और चार चाँद लग गये तब से वक़ार में

करती थी रोज़ रोज़ सितम हमपे ज़िंदगी
मारा है मौत ने ही फ़क़त एक बार में

क़द में बड़ा हूँ इसलिए बस छाँव सबको दी
सूरज से वरना तेज हूँ मैं ताबदार में

हमको तो इश्क़ भी कई सौ बार है हुआ
इक बार भी नहीं था मगर इख़्तियार में

  - Rohit tewatia 'Ishq'

Insaan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rohit tewatia 'Ishq'

As you were reading Shayari by Rohit tewatia 'Ishq'

Similar Writers

our suggestion based on Rohit tewatia 'Ishq'

Similar Moods

As you were reading Insaan Shayari Shayari