uski zulfon ke udakar lehraane mein
kaafi waqt laga hamko takraane mein
bhir jaaye jo ik ki khaatir duniya se
itni taqat hoti hai deewane mein
aankhen bola karti theen dil sunta tha
ab to baatein lagti hain samjhaane mein
veeraane mein hi ik ghar banvaaonga
tanhaai karti hai ghar veeraane mein
pehli chaahat bhool nahin paaye hain ham
diqqat baaki koi nahin dohraane mein
khud pairo'n par kaun kulhaadi maare hai
hamko tumse ishq hua anjaane mein
उसकी ज़ुल्फ़ों के उड़कर लहराने में
काफ़ी वक़्त लगा हमको टकराने में
भिड़ जाए जो इक की ख़ातिर दुनिया से
इतनी ताक़त होती है दीवाने में
आँखें बोला करती थीं दिल सुनता था
अब तो बातें लगती हैं समझाने में
वीराने में ही इक घर बनवाऊँगा
तन्हाई करती है घर वीराने में
पहली चाहत भूल नहीं पाए हैं हम
दिक़्क़त बाक़ी कोई नहीं दोहराने में
ख़ुद पैरों पर कौन कुल्हाड़ी मारे है
हमको तुमसे इश्क़ हुआ अनजाने में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rohit tewatia 'Ishq'
our suggestion based on Rohit tewatia 'Ishq'
As you were reading Waqt Shayari Shayari