meri aankhon ko naye khwaab dikhaane waale
tu kahaan hai mujhe deewaana banaane waale
ab to har raat tiri yaad rulaati hai mujhe
mujh ko is dukh bhari duniya mein hansaane waale
ab madad kii bhi to kya khaak madad kii tune
aakhiri waqt mein imdaad ko aane waale
tujh ko is daur mein haq cheenna hoga apna
apne haq ke liye awaaz uthaane waale
meri imdaad kii awaaz to sunte hain magar
kaise chupchaap khade hain ye zamaane waale
ham ne lafzon ko hi khanjar sa bana rakkha hai
ham nahin haath mein patthar ko uthaane waale
koii ustaad hamaara na koii rahbar hai
hazrat-e-waqt hain sab ham ko sikhaane waale
un ko ghar-baar chalaana bhi nahin aata hai
saif jo ban gaye sarkaar chalaane waale
मिरी आँखों को नए ख़्वाब दिखाने वाले
तू कहाँ है मुझे दीवाना बनाने वाले
अब तो हर रात तिरी याद रुलाती है मुझे
मुझ को इस दुख भरी दुनिया में हँसाने वाले
अब मदद की भी तो क्या ख़ाक मदद की तूने
आख़िरी वक़्त में इम्दाद को आने वाले
तुझ को इस दौर में हक़ छीनना होगा अपना
अपने हक़ के लिए आवाज़ उठाने वाले
मिरी इमदाद की आवाज़ तो सुनते हैं मगर
कैसे चुपचाप खड़े हैं ये ज़माने वाले
हम ने लफ़्ज़ों को ही ख़ंजर सा बना रक्खा है
हम नहीं हाथ में पत्थर को उठाने वाले
कोई उस्ताद हमारा न कोई रहबर है
हज़रत-ए-वक़्त हैं सब हम को सिखाने वाले
उन को घर-बार चलाना भी नहीं आता है
'सैफ़' जो बन गए सरकार चलाने वाले
As you were reading Shayari by Saif Dehlvi
our suggestion based on Saif Dehlvi
As you were reading undefined Shayari