sun kar buland ho gaya sar mera shaan se | सुन कर बुलन्द हो गया सर मेरा शान से - Saif Dehlvi

sun kar buland ho gaya sar mera shaan se
jaate hain log chaand pe hindostaan se

jo baat tu ne boli nahin hai zubaan se
vo teri chup ne bol di hai mere kaan se

tanhaa jo mujh ko chhod gaye is zameen par
vo dekhte to honge mujhe aasmaan se

sunkar kisi ka dil dukhe aansu nikal pade
aisi bhi koii baat na kehna zubaan se

dekho abhi bhi waqt hai aa jaao laut kar
nikla nahin hai teer abhi bhi kamaan se

iske alaava aur hamein kuchh nahin mila
virse mein bas hayaat mili khaandaan se

koshish to kar rahein hain magar jaan leejie
mumkin nahin mitaana hamein daastaan se

hairat ki baat hai ke milan kii ye raat hai
aur so rahe hain saif miyaan itminaan se

सुन कर बुलन्द हो गया सर मेरा शान से
जाते हैं लोग चाँद पे हिन्दोस्तान से

जो बात तू ने बोली नहीं है ज़ुबान से
वो तेरी चुप ने बोल दी है मेरे कान से

तन्हा जो मुझ को छोड़ गए इस ज़मीन पर
वो देखते तो होंगे मुझे आसमान से

सुनकर किसी का दिल दुखे आँसू निकल पड़े
ऐसी भी कोई बात न कहना ज़ुबान से

देखो अभी भी वक़्त है आ जाओ लौट कर
निकला नहीं है तीर अभी भी कमान से

इसके अलावा और हमें कुछ नहीं मिला
विरसे में बस हयात मिली ख़ानदान से

कोशिश तो कर रहें हैं मगर जान लीजिए
मुमकिन नहीं मिटाना हमें दास्तान से

हैरत कि बात है के मिलन की ये रात है
और सो रहे हैं सैफ़ मियाँ इत्मिनान से

- Saif Dehlvi
2 Likes

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari