tire alaava agar ham kisi se milte hain | तिरे अलावा अगर हम किसी से मिलते हैं - Saif Dehlvi

tire alaava agar ham kisi se milte hain
yaqeen maan bahut bedili se milte hain

gham-e-judai ka sadma to kam nahin lekin
ye gham chhupaaye hue har kisi se milte hain

isiliye main kahin aur ja nahin paata
tamaam raaste uski gali se milte hain

bas ek maut hi waahid sukoon deti hai
hazaar gham hain jo is zindagi se milte hain

yaqeen maaniye dukh dard bhool jaate hain
zara sii der agar saif jee se milte hain

तिरे अलावा अगर हम किसी से मिलते हैं
यक़ीन मान बहुत बेदिली से मिलते हैं

ग़म-ए-जुदाई का सदमा तो कम नहीं लेकिन
ये ग़म छुपाए हुए हर किसी से मिलते हैं

इसीलिए मैं कहीं और जा नहीं पाता
तमाम रास्ते उसकी गली से मिलते हैं

बस एक मौत ही वाहिद सुकून देती है
हज़ार ग़म हैं जो इस ज़िन्दगी से मिलते हैं

यक़ीन मानिए दुख दर्द भूल जाते हैं
ज़रा सी देर अगर सैफ़ जी से मिलते हैं

- Saif Dehlvi
3 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari