bashar mein is tarah ilm-o-hunar zaroori hai | बशर में इस तरह इल्म-ओ-हुनर ज़रूरी है - Saif Dehlvi

bashar mein is tarah ilm-o-hunar zaroori hai
shajar kii shaakh pe jaise samar zaroori hai

ye baat apni jagah hai ki ghar zaroori hai
par us se ziyaada bhala ham safar zaroori hai

yaqeen karein na karein vo meri mohabbat ka
unhen ye haal bataana magar zaroori hai

tamaam shehar mein barsaat ho rahi hai magar
udhar hi abr nahin hai jidhar zaroori hai

tumhein hamaari qasam ham se door mat jaana
tumhaara saath hamein umr bhar zaroori hai

yahan pe ghoos sifaarish se kaam hone lage
ye daur vo nahin jis mein hunar zaroori hai

बशर में इस तरह इल्म-ओ-हुनर ज़रूरी है
शजर की शाख़ पे जैसे समर ज़रूरी है

ये बात अपनी जगह है कि घर ज़रूरी है
पर उस से ज़्यादा भला हम सफ़र ज़रूरी है

यक़ीं करें न करें वो मेरी मोहब्बत का
उन्हें ये हाल बताना मगर ज़रूरी है

तमाम शहर में बरसात हो रही है मगर
उधर ही अब्र नहीं है जिधर ज़रूरी है

तुम्हें हमारी क़सम हम से दूर मत जाना
तुम्हारा साथ हमें उम्र भर ज़रूरी है

यहाँ पे घूस सिफ़ारिश से काम होने लगे
ये दौर वो नहीं जिस में हुनर ज़रूरी है

- Saif Dehlvi
2 Likes

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari