jahaan par shaam se milti hui ik bhor hai shaayad
wahin par uske mere vasl kii ik thor hai shaayad
faqat ik khwaab mein hoon khwaab hoon ya hoon haqeeqat main
meri parwaaz mein uska hi koii zor hai shaayad
main usko door se dekhoon to lagta hai sukoon jaisa
jo khud mein jhaank kar dekhoon to koii shor hai shaayad
talab itni ziyaada hai magar utni hi hai doori
mujhe aur usko baandhe dil kii koii dor hai shaayad
vo mere rang le mujhse mujhe hi rang deta hai
nahin saahir magar seerat ka koii chor hai shaayad
जहाँ पर शाम से मिलती हुई इक भोर है शायद
वहीं पर उसके मेरे वस्ल की इक ठोर है शायद
फ़क़त इक ख़्वाब में हूँ ख़्वाब हूँ या हूँ हक़ीक़त मैं
मेरी परवाज़ में उसका ही कोई ज़ोर है शायद
मैं उसको दूर से देखूँ तो लगता है सुकूँ जैसा
जो ख़ुद में झाँक कर देखूँ तो कोई शोर है शायद
तलब इतनी ज़ियादा है मगर उतनी ही है दूरी
मुझे और उसको बाँधे दिल की कोई डोर है शायद
वो मेरे रंग ले मुझसे मुझे ही रंग देता है
नहीं साहिर मगर सीरत का कोई चोर है शायद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Surendra Bhatia "Salil"
our suggestion based on Surendra Bhatia "Salil"
As you were reading Subah Shayari Shayari