laga rehta hai seene se magar khilwat mein lagta hai
ye dil bhi aaj tak us shakhs kii aadat mein lagta hai
kai armaan laata hoon jutaakar tab to bunta hoon
mera har khwaab kyun auqaat kii dahshat mein lagta hai
bade hote hi ham maasoomiyat ko bhool jaate hain
na jaane zor kitna dunyavi taqat mein lagta hai
bade shehron mein mustaqbil banaane kii masheenein hain
mere bheetar ka dehaati isi gafalat mein lagta hai
kahaan to aasmaan tak gaav mein parwaaz hoti thi
yahan angdaai bhi lo haath jaakar chhat mein lagta hai
लगा रहता है सीने से मगर ख़ल्वत में लगता है
ये दिल भी आज तक उस शख़्स की आदत में लगता है
कई अरमान लाता हूँ जुटाकर तब तो बुनता हूँ
मेरा हर ख़्वाब क्यूँ औक़ात की दहशत में लगता है
बड़े होते ही हम मासूमियत को भूल जाते हैं
न जाने ज़ोर कितना दुनयवी ताक़त में लगता है
बड़े शहरों में मुस्तक़बिल बनाने की मशीनें हैं
मेरे भीतर का देहाती इसी गफ़लत में लगता है
कहाँ तो आसमाँ तक गाँव में परवाज़ होती थी
यहाँ अँगड़ाई भी लो हाथ जाकर छत में लगता है
As you were reading Shayari by Surendra Bhatia "Salil"
our suggestion based on Surendra Bhatia "Salil"
As you were reading undefined Shayari