kaash
kaash main waqt kii suiyon ko ulti chaal de paata
nahin mujhko nahin koii dard dete harf mitaane
na hi koii beraham sii yaad yaadon se mitaani hai
mujhe bas phir se jeena hai tere mere un lamhon ko
jinhen beete hue bhi ek muddat beetne ko hai
mujhe bas phir se sunni hai fazooli guftagoo apni
jo ab bhi kaan ke pard-on mein akshar goonjti sii hai
mujhe bas phir se choona hai tere naazuk se gaalon ko
ke jin par aa ke vo nanhi sharaarat bikhar jaati thi
kaash main waqt kii suiyon ko ulti chaal de paata
"काश"
काश मैं वक़्त की सुइयों को उल्टी चाल दे पाता
नहीं मुझको नहीं कोई दर्द देते हर्फ़ मिटाने
न ही कोई बेरहम सी याद यादों से मिटानी है
मुझे बस फिर से जीना है तेरे मेरे उन लम्हों को
जिन्हें बीते हुए भी एक मुद्दत बीतने को है
मुझे बस फिर से सुननी है फ़ज़ूली गुफ़्तगू अपनी
जो अब भी कान के परदों में अक्सर गूँजती सी है
मुझे बस फिर से छूना है तेरे नाज़ुक से गालों को
के जिन पर आ के वो नन्ही शरारत बिखर जाती थी
काश मैं वक़्त की सुइयों को उल्टी चाल दे पाता
As you were reading Shayari by Surendra Bhatia "Salil"
our suggestion based on Surendra Bhatia "Salil"
As you were reading undefined Shayari