mujhko ab khaatam-e-laila ka nageen hona hai | मुझको अब ख़ातम-ए-लैला का नगीं होना है

  - Salman ashhadi sahil

mujhko ab khaatam-e-laila ka nageen hona hai
masnad-e-ishq pe phir takht nasheen hona hai

dil bhi us shakhs pe dhadka hai ki jisko mera
laakh koshish ho magar phir bhi nahin hona hai

meri khwaahish hai ki vo baam-e-falak tak pahunchen
uski zid hai ki use zere-zameen hona hai

zinda rahna hai to bedein ki tarah zeest guzaar
qaabil-e-jurm yahan sahib-e-deen hona hai

yun na tuk dekh nazar bhar ke meri jaan ki mujhe
teri aankhon mein nahin dil mein makeen hona hai

मुझको अब ख़ातम-ए-लैला का नगीं होना है
मसनद-ए-इश्क़ पे फिर तख़्त नशीं होना है

दिल भी उस शख़्स पे धड़का है कि जिसको मेरा
लाख कोशिश हो मगर फिर भी नहीं होना है

मेरी ख़्वाहिश है कि वो बाम-ए-फ़लक तक पहुँचे
उसकी ज़िद है कि उसे ज़ेरे-ज़मीं होना है

ज़िंदा रहना है तो बेदीं की तरह ज़ीस्त गुज़ार
क़ाबिल-ए-जुर्म यहाँ साहब-ए-दीं होना है

यूँ न टुक देख नज़र भर के मेरी जाँ कि मुझे
तेरी आँखों में नहीं दिल में मकीं होना है

  - Salman ashhadi sahil

Mehnat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Salman ashhadi sahil

As you were reading Shayari by Salman ashhadi sahil

Similar Writers

our suggestion based on Salman ashhadi sahil

Similar Moods

As you were reading Mehnat Shayari Shayari