musaafir ne poocha sawaal ik wali ka | मुसाफ़िर ने पूछा सवाल इक वली का - Samar pandey

musaafir ne poocha sawaal ik wali ka
hai kitne ka rasta abhi se abhi ka

hai kya koi ladki jahaan mein ki jismein
ho aankhen kisi की,ho chehra kisi ka

kisi ko jo pa-bhar hai lena vo kya hai
kisi ki hai मंज़िल,सफ़र hai kisi ka

kisi ko sahoolat nahin di ki samjhe
main ban kar raha ik sawaali sabhi ka

mujhe dekhkar sab ke hain ye hi kehne
ye hoga yaqeenan kisi na kisi ka

tumhein jo mila tha mila kya kisi ko
samar ka samarpan safar zindagi ka

मुसाफ़िर ने पूछा सवाल इक वली का
है कितने का रस्ता अभी से अभी का

है क्या कोई लड़की जहाँ में कि जिसमें
हो आँखें किसी की,हो चेहरा किसी का

किसी को जो पा-भर है लेना वो क्या है
किसी की है मंज़िल,सफ़र है किसी का

किसी को सहूलत नहीं दी कि समझे
मैं बन कर रहा इक सवाली सभी का

मुझे देखकर सब के हैं ये ही कहने
ये होगा यक़ीनन किसी ना किसी का

तुम्हें जो मिला था मिला क्या किसी को
'समर' का समर्पण सफ़र ज़िन्दगी का

- Samar pandey
3 Likes

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Samar pandey

As you were reading Shayari by Samar pandey

Similar Writers

our suggestion based on Samar pandey

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari