dil baandh ke rakha hai rakha hai falak pe sar | दिल बाँध के रखा है रखा है फ़लक पे सर

  - Sanjay Bhat

dil baandh ke rakha hai rakha hai falak pe sar
manzil to dik rahi hai magar kho gaya hai ghar

kuchh to chalo sambhal ke na masalo kisi ka dil
mushkil se dil vo ishq mein karta hai tay safar

maana ki zindagi ne kiye hain bahut sitam
rakhte hain haath haath mein badli na ye nazar

hai saath teergi mein bhi maa kii dua ka rang
chaahat na chaand kii na kisi baat ka hai dar

ham anjuman mein aap kii aana to chhod den
ghar ka pata jo aapka maaloom ho agar

दिल बाँध के रखा है रखा है फ़लक पे सर
मंज़िल तो दिख रही है मगर खो गया है घर

कुछ तो चलो सँभल के न मसलो किसी का दिल
मुश्किल से दिल वो इश्क़ में करता है तय सफ़र

माना कि ज़िंदगी ने किए हैं बहुत सितम
रखते हैं हाथ हाथ में बदली न ये नज़र

है साथ तीरगी में भी माँ की दुआ का रंग
चाहत न चाँद की न किसी बात का है डर

हम अंजुमन में आप की आना तो छोड़ दें
घर का पता जो आपका मालूम हो अगर

  - Sanjay Bhat

More by Sanjay Bhat

As you were reading Shayari by Sanjay Bhat

Similar Writers

our suggestion based on Sanjay Bhat

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari