maazi kii yaad se ham gulfaam ho gaye
the sakht khisht jaise ab khaam ho gaye
hain raaste bahut par kaise chaloon yahan
mushkil bahut hi chalna do gaam ho gaye
aala sanad mile the padh likh ke jo hamein
vaise sanad to ghar ghar mein aam ho gaye
sab ab lage bulane taaza khitaabon se
bekar aur nikamma kuchh naam ho gaye
jeete hain ab to apnon ke vaaste magar
dil aur samajh se kab ke ham saam ho gaye
माज़ी की याद से हम गुलफ़ाम हो गए
थे सख़्त ख़िश्त जैसे अब ख़ाम हो गए
हैं रास्ते बहुत पर कैसे चलूँ यहाँ
मुश्किल बहुत ही चलना दो गाम हो गए
आला सनद मिले थे पढ़ लिख के जो हमें
वैसे सनद तो घर घर में आम हो गए
सब अब लगे बुलाने ताज़ा खिताबों से
बेकार और निकम्मा कुछ नाम हो गए
जीते हैं अब तो अपनों के वास्ते मगर
दिल और समझ से कब के हम साम हो गए
As you were reading Shayari by Sanjay Bhat
our suggestion based on Sanjay Bhat
As you were reading undefined Shayari