main mutmain nahin hoon jee is mashware ke saath
bas laazimi aseeri hai ab katghare ke saath
do aashiqon ko apne jhagdate hi dekh vo
ab chal diya hai dekho kisi teesre ke saath
vo shakhs jaate jaate sahi baat kah gaya
hai zindagi guzarti nahin maskhare ke saath
ik aadmi jo ghar pe kabhi hansta hi nahin
pakda gaya hai hansta hua camera ke saath
gar tu nahin to kya teri yaadein to saath hain
apni to kat rahi hai isee aasre ke saath
khaansabiyat ka dost hai kuchh masale alag
banti nahin hai sabki to hamse khare ke saath
मैं मुत्मइन नहीं हूँ जी इस मशवरे के साथ
बस लाज़िमी असीरी है अब कटघरे के साथ
दो आशिक़ों को अपने झगड़ते ही देख वो
अब चल दिया है देखो किसी तीसरे के साथ
वो शख्स जाते जाते सही बात कह गया
है ज़िंदगी गुज़रती नहीं मसख़रे के साथ
इक आदमी जो घर पे कभी हँसता ही नहीं
पकड़ा गया है हँसता हुआ कैमरे के साथ
गर तू नहीं तो क्या तेरी यादें तो साथ हैं
अपनी तो कट रही है इसी आसरे के साथ
खाँसाबियत का दोस्त है कुछ मसअले अलग
बनती नहीं है सबकी तो हमसे खरे के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shadab khan
our suggestion based on Shadab khan
As you were reading Ghar Shayari Shayari