mehro-wafa ki shamaa jalate to baat thi | महर-ओ-वफ़ा की शमआ जलाते तो बात थी

  - Rekhta Pataulvi

mehro-wafa ki shamaa jalate to baat thi
insaaniyat ka paas nibhaate to baat thi

jamhooriyat ki shaan badhaate to baat thi
firqa parastiyo ko mitaate to baat thi

jisse ki door hoti kudoorat ki zulmatein
aisa koi charaagh jalate to baat thi

jamhooriyat ka jashn mubarak to hai magar
jamhooriyat ki jaan bachaate to baat thi

zardaar se yah haath milaana baja magar
nadaar ko gale se lagaate to baat thi

barbaad hone ka to koi gham nahin magar
apna banaake mujhko mitaate to baat thi

hindostaan ki qasam ai rekhta hoon khush
par munsifi ki baat bataate to baat thi

महर-ओ-वफ़ा की शमआ जलाते तो बात थी
इंसानियत का पास निभाते तो बात थी

जम्हूरियत की शान बढ़ाते तो बात थी
फ़िरक़ा परस्तियों को मिटाते तो बात थी

जिससे कि दूर होतीं कुदूरत की ज़ुल्मतें
ऐसा कोई चराग़ जलाते तो बात थी

जम्हूरियत का जश्न मुबारक तो है मगर
जम्हूरियत की जान बचाते तो बात थी

ज़रदार से यह हाथ मिलाना बजा मगर
नादार को गले से लगाते तो बात थी

बर्बाद होने का तो कोई ग़म नहीं मगर
अपना बनाके मुझको मिटाते तो बात थी

हिंदोस्तान की क़सम ऐ 'रेख़्ता' हूँ ख़ुश
पर मुंसिफ़ी की बात बताते तो बात थी

  - Rekhta Pataulvi

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Rekhta Pataulvi

As you were reading Shayari by Rekhta Pataulvi

Similar Writers

our suggestion based on Rekhta Pataulvi

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari