jaate hue paighaam-e-haya deke gaya hai | जाते हुए पैग़ाम-ए-हया देके गया है

  - Shajar Abbas

jaate hue paighaam-e-haya deke gaya hai
tohfe mein shajar mujhko rida deke gaya hai

ik shakhs naye fan se saza deke gaya hai
bichhda hai to jeene ki dua deke gaya hai

har baar ke jaise hi teri yaad ka jhonka
zakhamon ko mere dil ke hawa deke gaya hai

rakkhoonga sajaakar use kaashaana-e-dil mein
mujhko jo tu inaam-e-wafa deke gaya hai

lo waadi-e-pur-khaar mein hain hazrat-e-majnu
leila ko abhi koi pata deke gaya hai

gum sum se raha karte the sab phool chaman mein
ik bhanwara tabbasum ki ada deke gaya hai

maidaan-e-mohabbat se koi dil ka janaaza
le jaao uthakar ye sada deke gaya hai

rakhe nahin be aab-o-giza paanv ke chaale
beemaar inhen aab-o-giza deke gaya hai

maangi hai kisi ne to zamaane pe hukoomat
aur koi zamaane ko khula deke gaya hai

vo laut ke shaayad nahin aayega watan ko
vo aaj shajar izn-e-vida deke gaya hai

tadpega shajar banda vo furqat mein kisi ki
jo tujhko mohabbat mein daga deke gaya hai

जाते हुए पैग़ाम-ए-हया देके गया है
तोहफ़े में शजर मुझको रिदा देके गया है

इक शख़्स नए फ़न से सज़ा देके गया है
बिछड़ा है तो जीने की दुआ देके गया है

हर बार के जैसे ही तेरी याद का झोंका
ज़ख़्मों को मेरे दिल के हवा देके गया है

रक्खूँगा सजाकर उसे काशाना-ए-दिल में
मुझको जो तू ईनाम-ए-वफ़ा देके गया है

लो वादी-ए-पुर-ख़ार में हैं हज़रत-ए-मजनू
लैला को अभी कोई पता देके गया है

गुम सुम से रहा करते थे सब फूल चमन में
इक भँवरा तब्बसुम की अदा देके गया है

मैदान-ए-मोहब्बत से कोई दिल का जनाज़ा
ले जाओ उठाकर ये सदा देके गया है

रक्खे नहीं बे आब-ओ-गिज़ा पाँव के छाले
बीमार इन्हें आब-ओ-गिज़ा देके गया है

माँगी है किसी ने तो ज़माने पे हुकूमत
और कोई ज़माने को ख़ुला देके गया है

वो लौट के शायद नहीं आएगा वतन को
वो आज शजर इज़्न-ए-विदा देके गया है

तड़पेगा शजर बन्दा वो फ़ुर्क़त में किसी की
जो तुझको मोहब्बत में दग़ा देके गया है

  - Shajar Abbas

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari