jo koi kar nahin saka hai bashar hamne kiya
dil se utre hue logon mein guzar hamne kiya
is qadar ashk bahaaye hain gam-e-furqat mein
khushk sehra the ye sehraon ko tar hamne kiya
ek afraad ki khushiyon ke liye dekho zara
purkhtar raahon pe khush hoke safar hamne kiya
zulfen chehre se hatakar vo sar-e-baam aaye
aur phir doston deedaar-e-qamar hamne kiya
dil jalaakar koi apna ye sada deta hai
teergi thi yahan raushan ye nagar hamne kiya
kar diya qaid se azaad uraano ke liye
in parindon ko haqeeqat mein nidar hamne kiya
ashk aankhon se nikalne lage ye kahte hue
zabt jab tak thi to aankhon mein thehar hamne kiya
hoo-b-hoo ishq suno aise hi karna hain tumhein
jis tarah ishq mere lakht-e-jigar hamne kiya
rakh liya leejie hamne bhi naseehat ka bharam
aapke jaise hi lo ishq pidar hamne kiya
ro padi seene se lagkar mere ye kah ke shajar
aapko yaad har ik shaam-o-sehar hamne kiya
जो कोई कर नहीं सकता है बशर हमने किया
दिल से उतरे हुए लोगों में गुज़र हमने किया
इस क़दर अश्क़ बहाए हैं गम-ए-फ़ुर्क़त में
खुश्क़ सहरा थे ये सहराओ को तर हमने किया
एक अफ़राद की ख़ुशियों के लिए देखो ज़रा
पुरख़तर राहों पे ख़ुश होके सफ़र हमने किया
ज़ुल्फ़ें चेहरे से हटाकर वो सर-ए-बाम आए
और फिर दोस्तों दीदार-ए-क़मर हमने किया
दिल जलाकर कोई अपना ये सदा देता है
तीरगी थी यहाँ रौशन ये नगर हमने किया
कर दिया क़ैद से आज़ाद उड़ानों के लिए
इन परिंदों को हक़ीक़त में निडर हमने किया
अश्क़ आँखों से निकलने लगे ये कहते हुए
ज़ब्त जब तक थी तो आँखों में ठहर हमने किया
हू-ब-हू इश्क़ सुनो ऐसे ही करना हैं तुम्हें
जिस तरह इश्क़ मेरे लख़्त-ए-जिगर हमने किया
रख लिया लीजिए हमने भी नसीहत का भरम
आपके जैसे ही लो इश्क़ पिदर हमने किया
रो पड़ी सीने से लगकर मेरे ये कह के शजर।
आपको याद हर इक शाम-ओ-सहर हमने किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Love Shayari Shayari