rukh par naqaab sar pe rida chahta hoon main | रुख़ पर नक़ाब सर पे रिदा चाहता हूँ मैं - Shajar Abbas

rukh par naqaab sar pe rida chahta hoon main
usko lage hai uska bura chahta hoon main

kya poochhte ho mujhse ki kya chahta hoon main
main baa wafa hoon yaar wafa chahta hoon main

turbat mein apni karbobala chahta hoon main
apne kafan mein khaak-e-shifa chahta hoon main

halmin kii deke ran se zamaane ko ik sada
labbaik kii jahaan se sada chahta hoon main

main khaadim-e-rasool ghulaamaan-e-panjetan
raah-e-khuda mein apni qaza chahta hoon main

afsurdagi kii zarra-nawaazi se thak chuka
kuch shaadmaani tera maza chahta hoon main

gardan ke tauq pairo'n kii zanjeer se samajh
duniya mein inqilaab naya chahta hoon main

haami hoon ittihaad ka nafrat se bair hai
paigham-e-amn baad-e-saba chahta hoon main

duniya khilaaf hai to rahe mujhko gham nahin
bas zindagi mein saath tira chahta hoon main

takleef meri samjho mujhe tum dava na do
main hoon mareez-e-ishq dua chahta hoon main

dasht-e-junoon mein khaak udaane ke vaaste
koo-e-mata-e-jaan se vida chahta hoon main

tumse ye jaan maal nahin chahiye shajar
bas dosti mein ahad-e-wafaa chahta hoon main

रुख़ पर नक़ाब सर पे रिदा चाहता हूँ मैं
उसको लगे है उसका बुरा चाहता हूँ मैं

क्या पूछते हो मुझसे कि क्या चाहता हूँ मैं
मैं बा वफ़ा हूँ यार वफ़ा चाहता हूँ मैं

तुर्बत में अपनी करबोबला चाहता हूँ मैं
अपने कफ़न में ख़ाक-ए-शिफ़ा चाहता हूँ मैं

हलमिन की देके रन से ज़माने को इक सदा
लब्बैक की जहाँ से सदा चाहता हूँ मैं

मैं ख़ादिम-ए-रसूल ग़ुलामान-ए-पंजेतन
राह-ए-ख़ुदा में अपनी क़ज़ा चाहता हूँ मैं

अफ़सुर्दगी की ज़र्रा-नवाज़ी से थक चुका
कुछ शादमानी तेरा मज़ा चाहता हूँ मैं

गर्दन के तौक़ पैरों की ज़ंजीर से समझ
दुनिया में इंक़िलाब नया चाहता हूँ मैं

हामी हूँ इत्तिहाद का नफ़रत से बैर है
पैग़ाम-ए-अम्न बाद-ए-सबा चाहता हूँ मैं

दुनिया ख़िलाफ़ है तो रहे मुझको ग़म नहीं
बस ज़िंदगी में साथ तिरा चाहता हूँ मैं

तकलीफ़ मेरी समझो मुझे तुम दवा न दो
मैं हूँ मरीज़-ए-इश्क़ दुआ चाहता हूँ मैं

दश्त-ए-जुनूँ में ख़ाक उड़ाने के वास्ते
कू-ए-मता-ए-जाँ से विदा चाहता हूँ मैं

तुमसे ये जान माल नहीं चाहिए शजर
बस दोस्ती में अहद-ए-वफ़ा चाहता हूँ मैं

- Shajar Abbas
0 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari