har ek roz zamaane mein hai naya ashob | हर एक रोज़ ज़माने में है नया अशोब

  - Shajar Abbas

har ek roz zamaane mein hai naya ashob
kahi hai chhota kahi hai khuda bada ashob

janaab-e-qais basaayenge ja ke dasht-e-junoon
ye sun ke leila ke dil mein bapaa hua ashob

hisaar-e-ishq mein aaya hai jab se qalb-e-tapaan
hayaat-e-jaavidaan ban baithi hai naya ashob

hamaare ishq ko mazhab nigal gaya murshid
ye kah ke roya mohabbat ka khud khuda ashob

firaq-e-yaar mein dil ta hayaat rota raha
khushi manaa'i nahin dil ne baa khuda ashob

ye khoon-e-hazrat-e-raanjha na zaaya jaayega
shajar ye laayega duniya mein ik naya ashob

हर एक रोज़ ज़माने में है नया अशोब
कहीं है छोटा कहीं है ख़ुदा बड़ा अशोब

जनाब-ए-क़ैस बसाएँगे जा के दश्त-ए-जुनूँ
ये सुन के लैला के दिल में बपा हुआ अशोब

हिसार-ए-इश्क़ में आया है जब से क़ल्ब-ए-तपाँ
हयात-ए-जाविदाँ बन बैठी है नया अशोब

हमारे इश्क़ को मज़हब निगल गया मुर्शीद
ये कह के रोया मोहब्बत का ख़ुद ख़ुदा अशोब

फ़िराक़-ए-यार में दिल ता हयात रोता रहा
ख़ुशी मनाई नहीं दिल ने बा ख़ुदा अशोब

ये ख़ून-ए-हज़रत-ए-राँझा न ज़ाया जाएगा
शजर ये लाएगा दुनिया में इक नया अशोब

  - Shajar Abbas

Ulfat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Ulfat Shayari Shayari