koi nahin tha mere aas paas eed ke din
shajar main baitha tha tanhaa udaas eed ke din
tamaam log the pahne hue libaas-e-khushi
ghamon ka tan pe tha mere libaas eed ke din
mere naseeb mein ranj-o-alam masaayab the
to kaise aati mujhe khushiyaan raas eed ke din
vo laut aayega tu khud ko be qaraar na kar
ye mujhse bola dil-e-haq-shanaas eed ke din
tabbasum-e-lab-e-hamdam ko kya likhoon main shajar
ye soch soch ke tha bad hawas eed ke din
कोई नहीं था मेरे आस पास ईद के दिन
शजर मैं बैठा था तन्हा उदास ईद के दिन
तमाम लोग थे पहने हुए लिबास-ए-ख़ुशी
ग़मों का तन पे था मेरे लिबास ईद के दिन
मेरे नसीब में रंज-ओ-अलम मसायब थे
तो कैसे आतीं मुझे ख़ुशियाँ रास ईद के दिन
वो लौट आयेगा तू ख़ुद को बे क़रार न कर
ये मुझसे बोला दिल-ए-हक़-शनास ईद के दिन
तब्बसुम-ए-लब-ए-हमदम को क्या लिखूँ मैं शजर
ये सोच सोच के था बद हवास ईद के दिन
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Mood off Shayari Shayari