mehfil mein baar baar kiya haaye kya kiya
bas tera intizaar kiya haaye kya kiya
is nasl-e-nau ne qais mohabbat ke naam par
jismoon ka kaarobaar kiya haaye kya kiya
dil vo nisaar kar ke adaaon pe kah uthe
dil aap par nisaar kiya haaye kya kiya
gham ghazamzada hain ham ne udaasi ko chhodkar
khushiyon ka kaarobaar kiya haaye kya kiya
gulshan mein baagbaan hain yun mahv-e-fighaan shajar
zakhmi gulon ko khaar kiya haaye kya kiya
महफ़िल में बार बार किया हाए क्या किया
बस तेरा इंतिज़ार किया हाए क्या किया
इस नस्ल-ए-नौ ने क़ैस मोहब्बत के नाम पर
जिस्मों का कारोबार किया हाए क्या किया
दिल वो निसार कर के अदाओं पे कह उठे
दिल आप पर निसार किया हाए क्या किया
ग़म ग़मज़दा हैं हम ने उदासी को छोड़कर
ख़ुशियों का कारोबार किया हाए क्या किया
गुलशन में बाग़बाँ हैं यूँ महव-ए-फ़ुग़ाँ शजर
ज़ख़्मी गुलों को ख़ार किया हाए क्या किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Intezaar Shayari Shayari