mera meri udaasi ka kuchh to khayal kar
main kab se chup hoon mujhse koii to sawaal kar
furqat naseeb aise na khud ko nidhaal kar
rukh par tamaache maar ke rukh ko na laal kar
sehra kii simt leke chala ja raha hai husn
pairo'n mein dil ke zulf kii zanjeer daal kar
aisa na ho ki paanv mein chubh jaaye koii khaar
phoolon ke tan pe rakhna qadam dekhbhaal kar
rukh se naqaab apne hatakar guzarna tum
raste pe rakh raha hoon main aankhen nikaal kar
मेरा मिरी उदासी का कुछ तो ख़याल कर
मैं कब से चुप हूँ मुझसे कोई तो सवाल कर
फ़ुर्क़त नसीब ऐसे न ख़ुद को निढाल कर
रुख़ पर तमाचे मार के रुख़ को न लाल कर
सहरा की सिम्त लेके चला जा रहा है हुस्न
पैरों में दिल के ज़ुल्फ़ की ज़ंजीर डाल कर
ऐसा न हो कि पाँव में चुभ जाए कोई ख़ार
फूलों के तन पे रखना क़दम देखभाल कर
रुख़ से नक़ाब अपने हटाकर गुज़रना तुम
रस्ते पे रख रहा हूँ मैं आँखें निकाल कर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Chehra Shayari Shayari