nam aankhen le ke dekho tumse shikwa karne aaya hoon
main aise apne dil ka bojh halka karne aaya hoon
qabeele se tumhaare aaj rishta karne aaya hoon
tumhaare dil ki lo poori tamannaa karne aaya hoon
main apna haal lekar aa gaya hoon bar sar-e-mahfil
magar yaaron ko lagta hai tamasha karne aaya hoon
adhoora rah gaya tha jo mohabbat ka sanam sajda
mukammal aaj main vo waala sajda karne aaya hoon
badi maasoomiyat se muskuraakar mujhse vo bola
tumhaare karya-e-dil par main kabza karne aaya hoon
parindon ke dilon mein jo qafas ka sun tahaasha hai
dilon se door vo inke tahaasha karne aaya hoon
tumhaare shehar mein jo jo mohabbat ke mukhaalif hain
main un logon ke naamon ka khulasa karne aaya hoon
main pehle apni koshish karke haara tha muqaddar se
to jo qismat mein likkha hai main waisa karne aaya hoon
tumhaari zid thi jaanaan main tumhaari doli par aaun
tumhaari aakhiri lo zid ko poora karne aaya hoon
jo ghalti ki hai maine jaane anjaane mein duniya mein
khuda se aaj us ghalti ki tauba karne aaya hoon
tumhaari raahon se kaante hata kar meri shehzaadi
tumhaara pur-khatr aasaan rasta karne aaya hoon
suno ai be-wafa ladki tumhaari yaad mein ro kar
main apne ashkon se tar saara sehra karne aaya hoon
tumhaari maang bharkar bar sar-e-mahfil mataa-e-jaan
mukammal main mohabbat ka fasana karne aaya hoon
koi aashiq sada deta hai bazaar-e-mohabbat mein
khareedaron khareedo dil ka sauda karne aaya hoon
shajar mujhko mere apnon ne jaltee dhoop mein rakha
magar main in saroon par apna saaya karne aaya hoon
नम आँखें ले के देखो तुमसे शिकवा करने आया हूँ
मैं ऐसे अपने दिल का बोझ हल्का करने आया हूँ
क़बीले से तुम्हारे आज रिश्ता करने आया हूँ
तुम्हारे दिल की लो पूरी तमन्ना करने आया हूँ
मैं अपना हाल लेकर आ गया हूँ बर सर-ए-महफ़िल
मगर यारों को लगता है तमाशा करने आया हूँ
अधूरा रह गया था जो मोहब्बत का सनम सज्दा
मुकम्मल आज मैं वो वाला सज्दा करने आया हूँ
बड़ी मासूमियत से मुस्कुराकर मुझसे वो बोला
तुम्हारे कर्या-ए-दिल पर मैं कब्ज़ा करने आया हूँ
परिंदों के दिलों में जो क़फ़स का सुन तहाशा है
दिलों से दूर वो इनके तहाशा करने आया हूँ
तुम्हारे शहर में जो जो मोहब्बत के मुख़ालिफ हैं
मैं उन लोगों के नामों का ख़ुलासा करने आया हूँ
मैं पहले अपनी कोशिश करके हारा था मुक़द्दर से
तो जो क़िस्मत में लिक्खा है मैं वैसा करने आया हूँ
तुम्हारी ज़िद थी जानाँ मैं तुम्हारी डोली पर आऊँ
तुम्हारी आख़िरी लो ज़िद को पूरा करने आया हूँ
जो ग़लती की है मैंने जाने अनजाने में दुनिया में
ख़ुदा से आज उस ग़लती की तौबा करने आया हूँ
तुम्हारी राहों से काँटें हटा कर मेरी शहज़ादी
तुम्हारा पुर-ख़तर आसान रस्ता करने आया हूँ
सुनो ऐ बे-वफ़ा लड़की तुम्हारी याद में रो कर
मैं अपने अश्कों से तर सारा सहरा करने आया हूँ
तुम्हारी माँग भरकर बर सर-ए-महफ़िल मता-ए-जाँ
मुकम्मल मैं मोहब्बत का फ़साना करने आया हूँ
कोई आशिक़ सदा देता है बाज़ार-ए-मोहब्बत में
ख़रीदारों ख़रीदो दिल का सौदा करने आया हूँ
शजर मुझको मेरे अपनों ने जलती धूप में रक्खा
मगर मैं इन सरों पर अपना साया करने आया हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Relationship Shayari Shayari