khat khoon se ye likhna pada apne yaar ko
aata nahin hain chain dil-e-be-qaraar ko
dil sogwaar hai ye judaai mein aap ki
de do dilaasa aan ke is sogwaar ko
is daur-e-be wafaai mein hairat hai kis tarah
ik jaan-nisaar mil gaya ik jaan-nisaar ko
naqsh-e-qadam ye aapke palkon se choom le
mil jaaye ikhtiyaar jo be ikhtiyaar ko
ik shakhs ke labon ke tabassum ke vaaste
tasleem. kar raha hoon mohabbat mein haar ko
kal ik fakeer mujhse ye bola suno shajar
dil dena gar to dena kisi zimmedaar ko
ख़त ख़ून से ये लिखना पड़ा अपने यार को
आता नहीं हैं चैन दिल-ए-बे-क़रार को
दिल सोगवार है ये जुदाई में आप की
दे दो दिलासा आन के इस सोगवार को
इस दौर-ए-बे वफ़ाई में हैरत है किस तरह
इक जाँ-निसार मिल गया इक जाँ-निसार को
नक़्श-ए-क़दम ये आपके पलकों से चूम ले
मिल जाए इख़्तियार जो बे इख़्तियार को
इक शख़्स के लबों के तबस्सुम के वास्ते
तसलीम कर रहा हूँ मोहब्बत में हार को
कल इक फ़कीर मुझसे ये बोला सुनो शजर
दिल देना गर तो देना किसी ज़िम्मेदार को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Wafa Shayari Shayari