nidhaal tha nidhaal ko yun aur nidhaal kar diya
bichhadte waqt usne milne ka sawaal kar diya
tiri gali se jaaunga to teri yaad aayegi
isi khayal ne mera guzar muhaal kar diya
bada kamaal hai ye apni saltanat ko chhodna
hai fakhr ka maqaam aapne kamaal kar diya
hamaare haal-e-dil pe aankhen khun ke ashk roee hain
hamaare dil ka ishq tune kaisa haal kar diya
yaqeen kar haseen bashar jo kah raha hoon sab hai sach
haan husn ne tire tujhe hi bemisaal kar diya
निढाल था निढाल को यूँ और निढाल कर दिया
बिछड़ते वक़्त उसने मिलने का सवाल कर दिया
तिरी गली से जाऊँगा तो तेरी याद आएगी
इसी ख़याल ने मिरा गुज़र मुहाल कर दिया
बड़ा कमाल है ये अपनी सल्तनत को छोड़ना
है फ़ख़्र का मक़ाम आपने कमाल कर दिया
हमारे हाल-ए-दिल पे आँखें ख़ूँ के अश्क रोई हैं
हमारे दिल का इश्क़ तूने कैसा हाल कर दिया
यक़ीन कर हसीं बशर जो कह रहा हूँ सब है सच
हाँ हुस्न ने तिरे तुझे ही बेमिसाल कर दिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Sach Shayari Shayari