wafa khuloos mohabbat ki ibtida hoon main | वफ़ा ख़ुलूस मोहब्बत की इब्तिदा हूँ मैं - Shajar Abbas

wafa khuloos mohabbat ki ibtida hoon main
batao kisne kaha tumse be wafa hoon main

tumhaare naqsh-e-paa har ek dil ke kooche mein
nigaah-e-shauq se har waqt dhūḍhta hoon main

mere labon pe tabassum kahaan se aayega
gham-e-firaq mein har lamha gham-zda hoon main

kisi ne bar-sar-e-maqatal taras nahin khaaya
vo kah raha tha ki be jurm-o-be-khata hoon main

mera mizaaj niraala hai asr-e-haazir mein
sitam ko sabr ke khanjar se kaatta hoon main

haan haq ke saath sada misl-e-meessam-e-tammaar
khada rahoonga khada tha khada hua hoon main

kiya hai jab se shuroo maine haq ko haq kehna
zamaane waalon ki aankhon mein chubh raha hoon main

mukhaalifat meri karne lage hain ahl-e-jahaan
vo yaani raaste pe haq ki nikal pada hoon main

shajar ye hazrat-e-zainab ke lab pe nauha tha
hai baba shaam ka bazaar be rida hoon main

nishaan-e-pa tera deta tha cheekhkar ye sada
shajar tu choom le uska nishaan-e-pa hoon main

zamaane waale zamaane mein mujhko samjhenge
qasam khuda ki shajar aisa falsafa hoon main

वफ़ा ख़ुलूस मोहब्बत की इब्तिदा हूँ मैं
बताओ किसने कहा तुमसे बे वफ़ा हूँ मैं

तुम्हारे नक़्श-ए-पा हर एक दिल के कूचे में
निगाह-ए-शौक़ से हर वक़्त ढ़ूँढ़ता हूँ मैं

मेरे लबों पे तबस्सुम कहाँ से आएगा
ग़म-ए-फ़िराक़ में हर लम्हा ग़म-ज़दा हूँ मैं

किसी ने बर-सर-ए-मक़तल तरस नहीं खाया
वो कह रहा था कि बे जुर्म-ओ-बे-ख़ता हूँ मैं

मेरा मिज़ाज निराला है अस्र-ए-हाज़िर में
सितम को सब्र के ख़ंजर से काटता हूँ मैं

हाँ हक़ के साथ सदा मिस्ल-ए-मीसम-ए-तम्मार
खड़ा रहूँगा खड़ा था खड़ा हुआ हूँ मैं

किया है जब से शुरू मैंने हक़ को हक़ कहना
ज़माने वालों की आँखों में चुभ रहा हूँ मैं

मुख़ालिफ़त मेरी करने लगे हैं अहल-ए-जहाँ
वो यानी रस्ते पे हक़ की निकल पड़ा हूँ मैं

शजर ये हज़रत-ए-ज़ैनब के लब पे नौहा था
है बाबा शाम का बाज़ार बे रिदा हूँ मैं

निशान-ए-पा तेरा देता था चीख़कर ये सदा
शजर तू चूम ले उसका निशान-ए-पा हूँ मैं

ज़माने वाले ज़माने में मुझको समझेंगे
क़सम ख़ुदा की शजर ऐसा फ़लसफ़ा हूँ मैं

- Shajar Abbas
1 Like

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari