yaar koi to bata do ke kidhar lagta hai
vo jo firdaus ke maanind shehar lagta hai
hijr ke baad haqeeqat mein meri shehzaadi
ab mujhe jeena zamaane mein zarar lagta hai
jaane kya baat hui hai teri hijrat se sanam
mujhko veeraan mohabbat ka nagar lagta hai
dard qirtaas pe likhna koi aasaan nahin
dard likhne ke liye khoon-e-jigar lagta hai
main jo mahfooz hoon duniya ki museebat se suno
ye mujhe uski duaon ka asar lagta hai
ai mere khwaabon ki raani ai meri jaane wafa
tera chehra mujhe maanind-e-qamar lagta hai
haal mat pooch mere qalb ki tanhaai ka
itni tanhaai hai tanhaai ko dar lagta hai
apni sakhiyon se vo khush ho ke kaha karti thi
sabse achha mujhe college mein shajar lagta hai
maarte hain ye jahaan waale usi par patthar
jis shajar par bhi mere yaar samar lagta hain
kar de sayyaad tu azaad qafas se inko
bin parindon ke ye veeraan shajar lagta hai
यार कोई तो बता दो के किधर लगता है
वो जो फ़िरदौस के मानिंद शहर लगता है
हिज्र के बाद हक़ीक़त में मेरी शहज़ादी
अब मुझे जीना ज़माने में ज़रर लगता है
जाने क्या बात हुई है तेरी हिजरत से सनम
मुझको वीरान मोहब्बत का नगर लगता है
दर्द क़िर्तास पे लिखना कोई आसान नहीं
दर्द लिखने के लिए ख़ून-ए-जिगर लगता है
मैं जो महफूज़ हूँ दुनिया की मुसीबत से सुनो
ये मुझे उसकी दुआओं का असर लगता है
ऐ मेरे ख़्वाबों की रानी ऐ मेरी जाने वफ़ा
तेरा चेहरा मुझे मानिंद-ए-क़मर लगता है
हाल मत पूछ मेरे क़ल्ब की तन्हाई का
इतनी तन्हाई है तन्हाई को डर लगता है
अपनी सखियों से वो ख़ुश हो के कहा करती थी
सबसे अच्छा मुझे कॉलेज में 'शजर' लगता है
मारते हैं ये जहाँ वाले उसी पर पत्थर
जिस शजर पर भी मेरे यार समर लगता हैं
कर दे सय्याद तू आज़ाद क़फ़स से इनको
बिन परिंदों के ये वीरान शजर लगता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Bhai Shayari Shayari