ye tumko khud nahin maaloom yaar kya ho tum | ये तुमको ख़ुद नहीं मालूम यार क्या हो तुम - Shajar Abbas

ye tumko khud nahin maaloom yaar kya ho tum
sukoon-e-dil ho meri aankhon ki ziya ho tum

meri namaazon mein maangi hui dua ho tum
khuda ki simt se mere liye hiba ho tum

adaayein naaz karein jis pe vo ada ho tum
mere labon ki hasi meri dilrooba ho tum

kabhi kabhi ye lage hai ho tum khuda ka khyaal
kabhi kabhi ye lage hai mujhe khuda ho tum

namaaz padh ke jo dil se dua nikalti hai
hamaare dil se vo nikli hui dua ho tum

dil-o-dimaagh jigar fikr mein ho meri basi
mata-e-jaan faqat jism se juda ho tum

bhala kyun baithi ho khaamosh bazm-e-ishrat mein
batao kya hua kis baat par khafa ho tum

khushi hai iski ki shaamil ho meri khushiyon mein
magar malaal hai iska ke be rida ho tum

kabhi kabhi mujhe mehsoos aisa hota hai
jo be gunaah ko milti hai vo saza ho tum

haseen laakh ho soorat se meri jaan magar
ho be zameer ho kamzarf be haya ho tum

batao kya main likhoon tumko apni ghazalon mein
main likhna chaahoon to likkhoonga bewafa ho tum

koi lahu se shajar par ye roz likhta hai
hamaare dard-e-jigar ki shajar dava ho tum

ये तुमको ख़ुद नहीं मालूम यार क्या हो तुम
सुकून-ए-दिल हो मेरी आँखों की ज़िया हो तुम

मेरी नमाज़ों में माँगी हुई दुआ हो तुम
ख़ुदा की सिम्त से मेरे लिए हिबा हो तुम

अदाएँ नाज़ करें जिस पे वो अदा हो तुम
मेरे लबों की हँसी मेरी दिलरूबा हो तुम

कभी कभी ये लगे है हो तुम ख़ुदा का ख़्याल
कभी कभी ये लगे है मुझे ख़ुदा हो तुम

नमाज़ पढ़ के जो दिल से दुआ निकलती है
हमारे दिल से वो निकली हुई दुआ हो तुम

दिल-ओ-दिमाग़ जिगर फ़िक्र में हो मेरी बसी
मता-ए-जान फ़क़त जिस्म से जुदा हो तुम

भला क्यूँ बैठी हो ख़ामोश बज़्म-ए-इशरत में
बताओ क्या हुआ किस बात पर खफ़ा हो तुम

ख़ुशी है इसकी कि शामिल हो मेरी ख़ुशियों में
मगर मलाल है इसका के बे रिदा हो तुम

कभी कभी मुझे महसूस ऐसा होता है
जो बे गुनाह को मिलती है वो सज़ा हो तुम

हसीन लाख हो सूरत से मेरी जान मगर
हो बे ज़मीर हो कमज़र्फ बे हया हो तुम

बताओ क्या मैं लिखूँ तुमको अपनी ग़ज़लों में
मैं लिखना चाहूँ तो लिक्खूँगा बेवफ़ा हो तुम

कोई लहू से शजर पर ये रोज़ लिखता है
हमारे दर्द-ए-जिगर की शजर दवा हो तुम

- Shajar Abbas
1 Like

Tasawwur Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Tasawwur Shayari Shayari