pyaar karna hai to phir ishaara karo
meri nazaron se nazrein milaaya karo
pyaar karne mein koi khasaara nahin
pyaar mein tum ziyaada na socha karo
jald se meri ho jaao ai meri jaan
meri ulfat pe khul kar bharosa karo
tanhaa rehta hoon main raat ko kamre mein
paanv ko tum daba kar ke aaya karo
meri aankhen tarasti hain jiske liye
husn apna dikha kar ke jalwa karo
प्यार करना है तो फिर इशारा करो
मेरी नज़रों से नज़रें मिलाया करो
प्यार करने में कोई ख़सारा नहीं
प्यार में तुम ज़ियादा न सोचा करो
जल्द से मेरी हो जाओ ऐ मेरी जान
मेरी उल्फ़त पे खुल कर भरोसा करो
तन्हा रहता हूँ मैं रात को कमरे में
पाँव को तुम दबा कर के आया करो
मेरी आँखें तरसती हैं जिसके लिए
हुस्न अपना दिखा कर के जलवा करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shayar Danish
our suggestion based on Shayar Danish
As you were reading Kamar Shayari Shayari