tum mujh se kyun nazrein churaane lagte ho | तुम मुझ से क्यों नज़रें चुराने लगते हो

  - Shayar Danish

tum mujh se kyun nazrein churaane lagte ho
chehre pe chilman ko lagaane lagte ho

meri bhi thodi si sun lo tum taarif
apni tum taarif sunaane lagte ho

apne haal-e-dil ki baatein karta hoon
tum apna kyun dard dikhaane lagte ho

pyaar zara tum bhi kar lo mujh se ai jaan
ye baatein kyun jald hataane lagte ho

jab bhi lagata aag muhabbat ki daanish
kyun apne haathon se bujhaane lagte ho

तुम मुझ से क्यों नज़रें चुराने लगते हो
चेहरे पे चिलमन को लगाने लगते हो

मेरी भी थोड़ी सी सुन लो तुम तारीफ़
अपनी तुम तारीफ़ सुनाने लगते हो

अपने हाल-ए-दिल की बातें करता हूँ
तुम अपना क्यों दर्द दिखाने लगते हो

प्यार ज़रा तुम भी कर लो मुझ से ऐ जान
ये बातें क्यों जल्द हटाने लगते हो

जब भी लगाता आग मुहब्बत की 'दानिश'
क्यों अपने हाथों से बुझाने लगते हो

  - Shayar Danish

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari