koi hamse bhi pooche ye gham kya hai | कोई हमसे भी पूछे ये ग़म क्या है

  - Shayar Danish

koi hamse bhi pooche ye gham kya hai
chaahat mein karte hain vo maatam kya hai

yaar muhabbat deti hai takleef bahut
hamko khabar hai is qurbat mein dam kya hai

jigari aate hain ghar pe kuchh lekar ke
ham kahte hain unse ye marham kya hai

ham hain pareshaan daur-e-mohabbat se murshad
aashiq ke in aankhon mein pur-nam kya hai

dard hamaare badhte rahte hain hardam
aapke chehre par daanish khurram kya hai

कोई हमसे भी पूछे ये ग़म क्या है
चाहत में करते हैं वो मातम क्या है

यार मुहब्बत देती है तकलीफ़ बहुत
हमको ख़बर है इस क़ुर्बत में दम क्या है

जिगरी आते हैं घर पे कुछ लेकर के
हम कहते हैं उनसे ये मरहम क्या है

हम हैं परेशाँ दौर-ए-मुहब्बत से मुर्शद
आशिक़ के इन आँखों में पुर-नम क्या है

दर्द हमारे बढ़ते रहते हैं हरदम
आपके चेहरे पर 'दानिश' ख़ुर्रम क्या है

  - Shayar Danish

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shayar Danish

As you were reading Shayari by Shayar Danish

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Danish

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari