ghar mein baithe baithe akshar yun hi nahin main thakta hoon
man hi man meelon chalta hoon man hi man kuchh bakta hoon
umr-e-safar mein nahin hoon tanhaa khud ko ye samjhaane ko
peeche mud ke apne hi qadmon ke nishaan ko takta hoon
nazaron ke aage apnon ki soorat firne lagti hai
varna gham itne hain ki main ab khud se bhi mar saka hoon
log karein an-dekha par khud mujhko hi dik jaata hai
chahe jitni khoobi se main khaami apni dhakta hoon
sunaar mera jaane kab tak mujhko zewar mein dhaalega
kal bhi aag mein pakta tha main aaj bhi aag mein pakta hoon
pyaar mein haasil kya hota hai mujhko mat batlaao tum
dil dukhne ka dar hai varna main bhi ye kar saka hoon
itna bhi be-misl mujhe karne ki zid kya thi ya rab
baat bhi koi karta nahin main aisa bhi kya yaktaa hoon
घर में बैठे बैठे अक्सर यूँ ही नहीं मैं थकता हूँ
मन ही मन मीलों चलता हूँ मन ही मन कुछ बकता हूँ
उम्र-ए-सफ़र में नहीं हूँ तन्हा ख़ुद को ये समझाने को
पीछे मुड़ के अपने ही क़दमों के निशाँ को तकता हूँ
नज़रों के आगे अपनों की सूरत फिरने लगती है
वरना ग़म इतने हैं कि मैं अब ख़ुद से भी मर सकता हूँ
लोग करें अन-देखा पर ख़ुद मुझको ही दिख जाता है
चाहे जितनी ख़ूबी से मैं ख़ामी अपनी ढकता हूँ
सुनार मेरा जाने कब तक मुझको ज़ेवर में ढालेगा
कल भी आग में पकता था मैं आज भी आग में पकता हूँ
प्यार में हासिल क्या होता है मुझको मत बतलाओ तुम
दिल दुखने का डर है वरना मैं भी ये कर सकता हूँ
इतना भी बे-मिस्ल मुझे करने की ज़िद क्या थी या रब
बात भी कोई करता नहीं मैं ऐसा भी क्या यकता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by SHIV SAFAR
our suggestion based on SHIV SAFAR
As you were reading Udas Shayari Shayari