ik kabootar ke gutargoo sa fasana mera | इक कबूतर के गुटरगूँ सा फ़साना मेरा

  - SHIV SAFAR

ik kabootar ke gutargoo sa fasana mera
meri awaaz se hai haal bata kya mera

sirf soorat hi bhulaane se na gham kam hoga
chahta hoon main bhula doon ke koi tha mera

ab to bas zinda hi rahna hai dikhaave ke liye
ho gaya khatm tere jaate zamaana mera

meri barbaadiyon ka mujhko bhi tha andaaza
tere haathon mein muqaddar jo likha tha mera

daftar-e-zindagi mein aise uljh baitha hoon
ab to kam ho gaya ghar apne hi jaana mera

yaad tumko bhi jab aayega to tum roogi
vo hansaana vo chidhaana vo manana mera

mere rone ka hai matlab ki mujhe gham chahiye
koi samjha hi nahin itna ishaara mera

itni aasaani se main tujhko bhulaaoonga nahin
mujhko afsos rahega tu kabhi tha mera

jaise koi maa tadap uthati hai bacche ke bina
sha'iri se bhi kuchh aisa hi hai rishta mera

mujhse tum poochte ho kaun safar hai aakhir
tumko maaloom nahin tum bhi ho hissa mera

इक कबूतर के गुटरगूँ सा फ़साना मेरा
मेरी आवाज़ से, है हाल बता क्या मेरा

सिर्फ़ सूरत ही भुलाने से न ग़म कम होगा
चाहता हूॅं मैं भुला दूॅं के कोई था मेरा

अब तो बस ज़िंदा ही रहना है दिखावे के लिए
हो गया ख़त्म तेरे जाते ज़माना मेरा

मेरी बर्बादियों का मुझको भी था अंदाज़ा
तेरे हाथों में मुक़द्दर जो लिखा था मेरा

दफ़्तर–ए–ज़िंदगी में ऐसे उलझ बैठा हूॅं
अब तो कम हो गया घर अपने ही जाना मेरा

याद तुमको भी जब आएगा तो तुम रोओगी
वो हॅंसाना वो चिढ़ाना वो मनाना मेरा

मेरे रोने का है मतलब कि मुझे ग़म चहिए
कोई समझा ही नहीं इतना इशारा मेरा

इतनी आसानी से मैं तुझको भुलाऊॅंगा नहीं
मुझको अफ़सोस रहेगा तू कभी था मेरा

जैसे कोई माँ तड़प उठती है बच्चे के बिना
शा'इरी से भी कुछ ऐसा ही है रिश्ता मेरा

मुझसे तुम पूछते हो कौन ‘सफ़र’ है आख़िर
तुमको मालूम नहीं तुम भी हो हिस्सा मेरा

  - SHIV SAFAR

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHIV SAFAR

As you were reading Shayari by SHIV SAFAR

Similar Writers

our suggestion based on SHIV SAFAR

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari