roz andhere ki baahon mein hi sona hota hai | रोज़ अँधेरे की बाहों में ही सोना होता है

  - SHIV SAFAR

roz andhere ki baahon mein hi sona hota hai
raat se poocho kabhi kya raat hona hota hai

narm dil itna na rakho aas karna chhod do
jab bharosa tootaa hai khoob rona hota hai

maar kar patthar na marham bhi lagaate hain yahan
apne hi aansu se apna ghaav dhona hota hai

chhod kar ghar baar apna manzilon ki chaah mein
chain sukh aaraam kya khud ko bhi khona hota hai

gaav mein maa ro padegi sun ke meri dastaan
kaise main kah doon ki bhookhe pet sona hota hai

रोज़ अँधेरे की बाहों में ही सोना होता है
रात से पूछो कभी क्या रात होना होता है

नर्म दिल इतना न रक्खो आस करना छोड़ दो
जब भरोसा टूटता है ख़ूब रोना होता है

मार कर पत्थर न मरहम भी लगाते हैं यहाँ
अपने ही आँसू से अपना घाव धोना होता है

छोड़ कर घर बार अपना मंज़िलों की चाह में
चैन सुख आराम क्या ख़ुद को भी खोना होता है

गाँव में माँ रो पड़ेगी सुन के मेरी दास्ताँ
कैसे मैं कह दूँ कि भूखे पेट सोना होता है

  - SHIV SAFAR

Maa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SHIV SAFAR

As you were reading Shayari by SHIV SAFAR

Similar Writers

our suggestion based on SHIV SAFAR

Similar Moods

As you were reading Maa Shayari Shayari